Tuesday, July 10, 2012

Kuch Panne (10.07.2012)

Utalatein palatein kuch pannein.....kuch geelein pannein aur chipi in mein kaee aadhi adhoori kahaniya...  Haar pannein par baatein sirf tumhari hai.




                         


Kuch sapne jo dekhethe saath mein.. Taabse lekar aaj taak jo bhi sapne dekhe, mai janti thi ki woh aadhoorein hi reh jayengey. Par pata hai kya, jaabh woh sapne mai tumharein saath dekhti thi to uinhe saach maine ki himaat pata ni kahase aati thi mujh mein..


Shayaad tumhari aankhoin se, tumhari haansi se... Par na aaj tum ho aur na aaj meri himmat... Kuch kaagazon kein panno mein hi reh gae meri zindagi...


Bahat koshish ki maine aapne aapko saamhaloon aur tumhe, tumhari yaadein aur tumharein diye huye sitam ko bhool jaaoon aur aapne aapko samhaal bhi liye, par harbaar dil kamzor padhjata tha. Dil ko pata ni kyu us dil par bharosa tha jo kabhi mere liye dhadakta tha.


Aaj bhi kae baar raaton mein uth ke aakeli tumse baatein karti hoon. Kitni hi raatein karvaton mein hi nikal gaye, aur kitni raatein kitein hi sirhanein beegey hai... 


Haar subha karvat letein huye yehi soch ti hoon ki kaash koi aisa din aaye ki us karvat ke bazoo mein tum bhi kabhi milon. Tumhe ghanton baith ke sochti hoon ki aagar aisa hota to kya hota.... 


Aaj bhi woh saare botal mere aalmari mein padhein hai jinse tumhne paani piye the... aajbhi un choodiyon ko baar baar utar ke pehen ne ki koshish karti hoon ki shayaad kaabhi tumhe mehsoos kar saakoon.


Pata hai har pal yeh sochti thi ki aisa kya karoon jisse tum mujhe chorke na jaoon.... kaabhi tasveerin to kabhi chocolate... Yeh saabh isliye karti thi ki tum iss bheed mei kahi mujhe na bhool jao... Inferiority complex tha na... kyu tum jisse koi bhi ladki pyaar karna chahegi woh mujhse kyu pyaar krenga  .....


Tumse kae baar kaha tha na ki mujhe aapna poora ek din aur poori ek raat dey do.. pata hai kyu ??? kyu ki us ek din k liye mai ICECLIMBER banan chahati thi.. Ek din ke liye i wanted to treat myself as ur ____.


Us ek din mein mai aapni saari zindagi tumharein saath jeena chahati thi. 


Tumhe subha uthati, tumhare liye chai aur nashta banati, tumharein kapdein press karke bistar par rakhti, tumharein saath nashtein ki table par baithke tumse baatein karti, fir jaabh tum office se thake haarein ghar atein to haath se bag lekar paani ka glaas deti, saath milkar tv dektein, raat ko khana khatein aur aakhir mein tumhari bahon mein sookoonse soti.. 


Ek din k lie poori tumhari hona chahati thi, jahana ghar jane ki jaldi hoti aur nahi raat hone ka daar. Kai baar tumhse milne wale pehle pal ko bar bar yaad karti, tumhare chehare ki expression ko yaad karti hoon jihn mein maine kaabhi mere liye pyaar dekha tha...


Tumhare pehli baar mere haatho ko choona gaddi ke gear badaltein huye, ek doosre se milne ki ichcha, aabhi tumharein diye phool smhalein huye hai maine. 


Par kya pata tha yeh sapne dekhtein dekhtein tum mujhse bahat aagey nikal gaye, itna ki aabh yaadon mein bhi nahi aati... Ladtein to pehle bhi the par us ladai mein bhi bhat pyaar tha par us roz woh shabdh kaafi the mujhe todne k liye...


Pannein palatein palatein kaabh yeh aankhe num hogae ki pata hi ni chala.... 


                                                   


Aabh baas mere saath rehgaye hai tumhari yaadein aur kuch kuch geelein pannein