Thursday, April 19, 2012

Kinarein .... The two sides that can't meet ever.


                                   

                                        ADHOORI KAHANI.... Kinaron Ki Tarha

Meri adhoori kahaani.
.. kahase shuroo karoo. Mai ghanto mere saamne wali diwaar ko ghoorti rehti hoon, kaabhi gusse mein to kaabhi pyaarse. Jaane kya sunti aur samajhti hai yeh deewar. Alagsi dosti hogae hai ussey. Jo kissi se na bol sakti thi ussey fataakse bol leti thi. Par pata hai uski saabhse aachi baat kya hai ki woh baas sunti hai, bolti kuch nahi..

                                        
  
Jitna bhi ussey boloon ki sojao woh mera haar mushkil mein saath deti hai, aisa laagta hai ki saamjhti hai mujhe woh. Kuch bhi nahi chupa ussey. Yeh dosti taabhse chali aarahi hai jaabh shayaad dosti shabd ka matlaabh bhi ni pata tha mujhe. Paar aajkal kuch bhi aacha ni lagta.

                                             

Ma kehti hai ek anjaana sa adhoora, khaali paan hai meri aankhomein dikhta hai. Jaane kise dhoondhti rehti hai tu. Saach bataoon to mujhe bhi pata nahi ki kis ko khojti hai meri aankhein. Baas dhundli si tasveer hai. Uska naam pata hai mujhe paar usey bula bhi nahi saki. Bahat bar socha ki usey paas bithaoon aur ussey gale laagke aapne dilki baat batane keh doon. Paar jaabh bhi woh saamne aata hai to baas usski hoke rehjati hoon. Raamsi jati hoon uski parchae mein, uski baaton mein, uski hansii mein.  

                                       

Uska ehesaas hamesha mere saath rehta hai. Uski khushboo aabhi bhi meri badan ki silwaton mein mehek raha hoga.Kaabhi kaabhi akele mein uske paas baith jati hoon mai, aur woh mujhe aapni baaho mein bharke kitni hi baatein karta hai. Mujhe bheed mein bhi sirf wahi dikhta hai. Aksaar raat ko hum ghanton baith ke baatein karte hai. Aur jaabh woh jane ki ziidh karta hai na to daur ke usey peechese paakad ke bolti hoon ki "mat jaona" aur woh muskurake mera haath apne haatho mein leke mere bagal mein hi sojata hai. Saabh kuch to tumse hai... Har jaga woh hi to hai, rasstein mein, gaano mein, movie mein, mere wajood mein hai woh. 

                                    

Uski ahat sifr mai sunsakti hoon, woh jaabh mere kareeb hota hai to na to mujhe duniya dikhti hai aur na samaaj. Baas woh dikhta hai.  Aabh pyaar to ni ho payega dobaara.Paar kai baar aisa bhi hua hai ussey aapne aapse door jata dekh cheekhee hoon raat ko uth uth ke or phir aapne aapko akela paya hai kae baar raaton mein. Bata ni sakti hoon woh akela paan kaisa hotahai, woh adhoora paan kaisa hota hai. Tumhe ek baar baho mein bharne ke liye  koi bhi haad paar karne wali icha hoti.. 

                               

Kachodti hai yeh khali daastan. Na to tumhe bhool pati hoon aur na hi boola pati hai. Gussa aata hai tumhpey, aapne aap paar. Kyu... cheekhti hoon aasmaan ki taraf dekh kar KYUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUUU. 

                                               


Haar aahat paar mehsoos hota hai ki shayaad tum ho, bhaagke balcony mein jaati hoon shayaad tum aaj mujhse milne aayeho. paar koi ni aata. Sajna sawarna to jaise bhoolsi gae hoon. kiske liye saajoon tum jo nahi ho. Mehendi ka bahat shok tha mujhe paar woh bhi geheri ni chaadhti kyuki naam to tumhara hai to gehera kisi aur naam se kaise hoga... 

                                          

Tum boltein ho ki aap bahat filmi ho.... Mai filmi ni hoon, baas meri ek choti si khwaabon ki duniya jismein ek jhalli ladki hai jo bachpaas hi aapne shehezaadey ko dhoon rah thi. Uske zindagi mein bahatse ladke aaye, paar woh us shehezaadey ko khoj rahi thi jisse delhte hi woh saabh bhool jaye, jo uskeliye saabh kuch chor ke aaye, jo ussey utna hi pyaar kare jitna ki woh karein, jaabh woh usey choye to pighal kaar uski bahon mein simat jaye.. Haar baar woh ussi shiddaatse pyaar karti paar haar baar use uska rajkumar akela chor jata... kaabhi dhan daulaat to kaabhi ma baap, to kaabhi kisi aur ke liye...

                                                       

Aur ek baar phir usne koshish ki pyaar paane ki .. woh rajkumar bilkul uske sapno ke rajkumar jaisa tha. Aaj bhi mai tumhe yeh bayaan ni karsakti ki tum mere liye kya ho. Log agni ko sakshi maanke zindagi ke wadein karte hai. Paar mere liye to tum hi saabh kuch ho. Bahat pagalpaan dekhein hai maine.. iss baar ek pagalpaan mai bhi karke dekhoon... tumse pagalon ki tarha pyaar karke dekhoon, tumhara pagalon ki intezaar karke dekhoon, raaton mein tumse uth uth kaar baat karke dekhoon, tumhe bata sakoon ki zindagi mein agar tum ho to usey jeeney ke maene hi kuch aur hai, tumho to..... tum na ho to kuch bhi nahi. Aur tumhare saath rehne keliye ek baar to kya mein baar baar takleef seh sakti hoon, baas vada yeh kro ki aakhir mein tum mere hogey...

                                                    

Mujhe pata hai ki hum un do kinaron ki tarha hai jo kaabhi nahi mil saktein paar phir bhi mai us din ka intezaar karoongi jaha hum milein bhi aur pyaar bhi karein. Mai duniya ke kisi bhi kone mein chali jaoon tum mere dil mein meri saansein baan ke raho gey yeh mera vada raha. aajse, aabhise... chahey mera taan kisi ka bhi hojaye, meri rooh sirf tumhari aamaanat rahegi use kaabhi koi choo bhi nahi payega...Kinaron ke jaise.Aur jaabh , jis din hum hamesha ke liye milengey na do dekhna yeh poori kayenaat humara istakbaal kar rahi hogi aur woh din sirf humara hoga aur saare gaam mitjayengey... Us din mai sach mooch ki dulhaan baanoongi. Mai tumhara us KINAREIN paar intezaar karoongi....


                           

Sirf tumhari........................................




CHUNRI MEIN DAAG (19.04.2012)


Manawa mein mere aandhi hai uthi, bas stubdh khadi hoon main
saanson mein paar apani hi saans, nishabd khadi hoon main
duniya se jeeti jeeti, khud se haari bas dhwast khadi hoon mein
aaina main aur aks main, madmast khadi hoon main...




Cham cham cham cham jhanjhwaat, antar mein gunje divas raat
ek shunya shunya, tapti vishal, maaya ka madhyam mantra jaal 
mann ki dasha se ladati main phirati vishwast khadi hoon main


mari laaj main hoon, chunar bhi main hoon, chunar pe daag bhi main..



Main dhwast dhwast, main nasht mast, main saral viral main ativishti
main shaam shwet baadal me rate, nirjhar si jhari hoon main
andhiyaari raat deepak mein baat swapnil si bhari hoon main
kanchan ki kaaya apna hai saaya bas khud se ladi hoon main 
lakadi mein gili thodi simi simi tham thamke chali hoon main
hai maaya maaya hai chhaaya chhaaya aatma par saaya main
nistubdh khadi hoon main, nishabd khadi hoon main
vishwast khadi hoon mein.....